SHABAD–Ab To Karo Udhdhaar Tum

SHABAD-Ab To Karo Udhdhaar Tum
20th December, 2010

Ab To Karo Udhdhaar Tum,
Sab Ke Paalan Haar Tum.
Jag Ka Aur Jeevan Ka,
Sirf Ho Aadhaar Tum.
He Paalanhaar Tum,
Ab To Karo Udhdhaar Tum.
Vo Ghadi Ab Aan Padi,
Jiske Rachnaadhaar Tum.
Bas Aur Nahi Ab Aur Nahi,
Karvaao Intazaar Tum.
Raman, Bharose Tumhaare Chal Padi,
Ab Sambhaalo Patwaar Tum.
Aao Palanhaar Tum,
Ab To Karo Udhdhaar Tum.

Tees Si Ooth Rahi Dil Mei,
Baichainiyon Se Bhar Rahi Hoon Mein.
Baichain Huyi Padi Hoon Mein
Shaant Karo Is Tees Ko,
Ab Milan Se Hi Ho Yeh Tees Khatam.
Shaant Karo Mujhe Shaant Karo,
Aey Mere Sanam, Aey Mere Balam
Jag Ke Paalanhaar Tum, Ab To Karo Udhdhaar Tum

अब तो करो ऊध्धार तुम,
सब के पालन हार तुम.
जग का और जीवन का,
सिर्फ़ हो आधार तुम.
हे पालनहार तुम,
अब तो करो ऊध्धार तुम.
वो घड़ी अब आन पड़ी,
जिसके रचनधार तुम.
बस और नहीं अब और नहीं,
करवाओ इंतज़ार तुम.
रमण, भरोसे तुम्हारे चल पड़ी,
अब सम्भालो पतवार तुम.
आओ पालनहार तुम,
अब तो करो ऊध्धार तुम.

टीस सी ऊठ रही दिल में,
बैचैनियोन से भर रही हूँ मैं.
बेचैन हुई पड़ी हूँ मैं
शाँत करो इस टीस को,
अब मिलन से ही हो यह टीस ख़तम.
शाँत करो मुझे शाँत करो,
ए मेरे सनम, ए मेरे बलम
जग के पालनहार तुम, अब तो करो ऊध्धार तुम

3:42 a.m. 20th January 2010 from Guruji already he had given the answer and I suddenly realized when I read this

Mujhe Tum Se Pyaar Hai, Pyaar Hai, Pyaar Hai
Yeh Mujhe Izhaar Hai, Izhaar Hai, Izhaar Hai
Yeh Mera Ikraar Hai, Ikraar Hai, Ikraar Hai

Raman Se Mujh Ko Pyaar Hai, Zamaane Ki Na Sunn Jhaliye
Zamaane Ki Na Parwaa Kar,
Tera Mera Milan Laaye Ik Nayi Bahaar Hai, Bahaar Hai, Bahaar Hai
Jo Tujhe Kuch Bhi Bole Preeye, Voh Bole Hai Mujhko Preeye
Vishvaas Rakh Mere Pyaar Par,
Ab Nahi Mujhe Kisi Baat Ka Intazaar Hai, Intazaar Hai, Intazaar Hai

Satsang in the Book…

(These are Divine words and not to be changed by anyone since that will not be in interest of anyone).

Click on pen to Use a Highlighter on this page